The New Teacher: Covid 19


This time I'm writing in hindi so please do give your comments:

"Humne kya kuch nahi sikha,

Par Corona ne hume sabh sikha diya.

Jo har ek pal hum phone se chipke rehte the,

Corona ne hume parivaar se juda dia.

Kabhi papa ne cheating nahi ki,

Lekin pato ke khel mein cheating karna sikha diya,

Har pal akele jis memes pe haste the,

Hume pure parivaar ke saath uss par hasna sikha diya.

Akele baithe saare netflix ke movies dekha karte the,

Aaj Corona ne woh parivaar ke saath milke dekhna sikha diya.

Jin dosto se humne kabhi baath nahi ki,

Corona ne unse bhi baath kara dia.

Jin yaaro se hum har din milte the ,

Unse dur rehkar bhi, "Kuch dosto ke beech nahi badalta" sikha dia.

Har shanivar ko mall jake maza karna bhulakar,

Mummy- Papa ke saath nok-joke karna sikha diya.

Theatre mein jakar naye film dekhna chuda kar,

Unn bachpan ki purani baatho par hasna sikha diya hai.

Ha yeh  chaubees(24) ghante ghar par baithna alag hai,

Aur yeh bahut lamba chal raha hai.

Par inn befizool baatho ko bhulakar,

Jo kuch naya sikha uss par thoda dhyan de do,

Corona ke badte hua number ko bhulakar,

Unn dosto aur cousins se number mila lo.

Vaccination ke liye rukna chodh kar,

Zoom call par uss ek late latif ke liye rukna sikh lo.

Bahut kuch alag hua hai,

Fir aisa mauka nahi milega aisa soch kar baith jao.

Ghar baithe bahut kuch sikha hai;

Andar ka masterchef bahar aaya hai,

"DIY art from waste" seekha hai

Ghar mein jhaadu pocha marna sikha hai,

Khudke baal par experiment karna sikhaya hai,

Face mask bahar se lana chodkar, 

Ghar pe bana dena sikhaya hai.

Yeh sabh sikhne ka mauka fir nahi milega.

Isliye inn sabh ke saath khush rehna sikh lena hai.

Unlock zaroor hua hai par zyada bematlab bahar mat nikalna,

Kyuki corona ne nahi, government ne chutkara dia hai,

Ghar baithe fir inn lamho ko baar baar dauhara lo,

Kyuki fir aisa mauka zindagi mein fir nahi ayega"

I hope you liked it. This is something different that I tried so please give me your suggestion in the comments section belowπŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡



Comments

  1. No words...just accurate!!!❤❤

    ReplyDelete
  2. Wowww !!!!nice Tanishaa ❤❤
    Hindi me achaa likha .........good keep it up !!!and all the best for your future .keep writing!!!😘

    ReplyDelete
  3. Aapka yaha prayaas bhahot hi Sarahaniya hai |

    Safalta aapke Jeevan ke har pal saath rahe yahi hamari Prathana |

    ReplyDelete
  4. Well said Tanisha...indeed it taught us n still teaching...Hope to get out of it soon...well potrayed

    ReplyDelete
  5. Wowiieee!! Tanu very well writtenπŸ˜™πŸ€—

    ReplyDelete
  6. Wow !! Kya likh diya Tanisha. Absolutely true and well expressed. Amidst the tensions corona has taught us how to live life too. Now it is time for Corona to leave us so that we follow what it taught us.πŸ‘ŒπŸ‘

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

An Independence with No Freedom

Happy Dad's Day!

Mother: THE BEST JOB